Saturday, February 14, 2009

Kabhi yun bhi hua hai..

Kabhi yun bhi hua hai..
meine saans li aur aisa laga tumne chua hai,
mein saham ..dil ko liye bhaagi,
bawari kaisi maan ki lagan hai lagi,
mein palti aur tumhari bahon ne samet liya hai,
Kabhi yun bhi hua hai..

Kabhi yun bhi hua hai..
mein tanha hui hoon aur aisa laga tumne bhi kuch kaha hai,
mein apni khamoshi mein yun khoi,
na apni na tumhari sud koi,
tumne khamoshi mein bhi sab sun liya hai,
Kabhi yun bhi hua hai..

Kabhi yun bhi hua hai...
mera pyar umad pada aur aisa laga tumko bhi hua hai,
meine dhadkan thame keh dali dil ki baat,
phir bathi thi soch kya tumhare dil mein bhi wohi the halat,
tumne bhi ek ehsaas mein woh sab keh diya hai,
Kabhi yun bhi hua hai...

Wednesday, January 28, 2009

SNEH KI ABHILASHA

Zulfo ne uski mujhe bandha aise
Bhul gaya mein bandhan jag ke
Chehre ko samete hue usne pyar se
Apne saaye mein mujhe paya usne
Kabhi zulfo ki badli mein, chand sa mukhda dekha
Kabhi ushmkiran ban, zhulsa gayi mere manko
Kabhi khoke paya usko, badli mein ankh michoni jaise
Kabhi woh chand roshni ki kiran, chandni muskurati jaise
Kabhi chandan si sheetal karti mere tanko
Kabhi zulfo mein khoke bhozhal karti mere manko
O chand , rehna mere man mein
Sneh ki abhilasha banke….

Boond

kale badal ki woh ek sham thi sooni
maan bhi soona aur angana bhi sooni
sooni ankhon mein giri thi ek boond
woh kehne lagi mein to rahi thi tujhko hi dhoond
woh boond thi ki chingari mein yeh na jaan saki
woh bikhri aur mein bhi na tan bcha saki
mujhe yaad hai woh raat abhi tak....
mujhe yaad hai woh raat abhi tak....
chand bhi aaya tha us roz
aur taare bhi sang aye the
maan ki veena ke kuch toote taar kuch soz
Maan ki umang phir le aaye the
Mein bhul gayi woh kale badal
aur bheegh gayi masti mein
mujhko chand bhi lagne laga tha pagal
jo chupa gaya sare badal apni hasti mein


mein darti thi ki subah na hone paye
suraj ki kiran meri boond ko na choone paye
woh aankhon ke raste dil mein jo utar gayi thi
mein kuch bator pati magar woh phir apne raste chali thi
woh boond nahi thi shayad
mere swapn ka toota kan tha
mein to unhi hui diwani
woh to bas soone jivan mein ek shan tha
woh bas aaya tha mujhe behlane
swapan lok ki sair karane
ab to aas ke sang pyaas bhi bhuj gayi
phir soone badal ki sham badal gayi
Mein soch khari hoon rasta takte
jane kab barsegi woh boond mere angan mein phirse....
jane kab barsegi woh boond mere angan mein phirse....

Chauraha

ateet ke panne ulat kar jab dekti hoon
to sirf ghor andhakar mein doobi zindagi
aur kuch bikhare panne hi samet pati hoon

mano woh cheekh cheekh kar mujhse poochte ho
ab jeevan mein kya rakha jo khojte ho
kati patang ki tarha bemaut mar gayi
kuch siski aur ab to aas bhi bhuj gayi
dosh aur niyati mein kya koi pharak nahi
kyu yeh bemani zindagi jeena khud par zulm nahi

lekin khud ke rundan ka shor ke siva
is khamoshi mein koi nahin sunta hai

aur phir ek khamoshi jo reh reh kar
ateet ko mere samaksh la khada karti hai
aur phir wohi chaoraha aur phir wohi mein…

Prashan

tum kehte ho..

bhavnao ko prastut karne mein shabdon ka aadambar kaisa
nayan korko se ashruo ka behna aur anubhooti keh dena kaisa
har bar bula poochna aana kaisa
bhavnao ki ghahrai ko napna aur anubhuti keh dena kaisa
mook prashan ka mook uttar kaisa
har aadambar ko bar bar aadambar keh jhootlana kaisa
maan ke bhavo ko vayakt karne mein hichakna kaisa
har bar ruk kar rok dena kaisa
bina sootr ke yeh rishta kaisa
bin bandhe yeh bandhan kaisa
apna hone ka yeh bharam kaisa…

in ashankhay prashano ke beech jeete nahi hai pal
mein in palo se ek ek din jeeti hoon…

Ahsaas

yeh dil ki basti bhi ajeeb basti hai
jeevan ke ahsaaso mein iski apni hi hasti hai

kabhi to hai akelepan ka ahsaas
jo kabhi door kabhi paas
kabhi dil akelepan ko dhoondta hai
kabhi akelapan dil ko dhoondta hai
kabhi kisi ke paas hokar bhi akelapan sa lagta hai
kabhi bin kisi ke bhi akelapan sa lagta hai
kabhi yeh dava hai , kabhi yeh saza hai
unhi akele mein dil kuch kehta hai
par akelepan ke ahsaas ke siva koi nahi sunta hai

kabhi to hai pyar ka ahsaas
jo kabhi pani kabhi pyaas
kabhi yeh sma jana chahta hai
kabhi yeh tham ke reh jata hai
kabhi khud hi luta hai
kabhi loot ke le jata hai

kabhi karne par bhi kam lagta hai
kabhi ismein hi kami reh jati hai
un to pyar sabke paas hota hai
par kabhi kismat kabhi smay ka saath hota hai

kabhi to hai rishton ka ahsaas
jo kabhi majhi kabhi patwar
kabhi yeh khud hi behta hai
kabhi bahake le jata hai
kabhi toot ke bikharta hai
kabhi bikharke toota hai
kabhi yeh saaya hai kabhi aks
un to rishte sbhi banate hai
par kabhi who samet lete hai
kabhi tod kar rakh dete hai
in ahsaaso se pare ek ahsaas mein jeeti hoon
roz ek saans ek aas peeti hoon
woh jo akela hai bin pyaar bin rishton ke
woh hai ek adhoora sa ahsaas…

Jeevan Mein Tatv Khojti Mein

Ek adhura sa ahsaas hota hai
Apna aap bhi rootha sa lagta hai
Kyu rahu tadpu bin bhag ke
Kyu yeh khalipan dasta rahe bin aas ke
Tan man sab adhura sa lagta hai
Apna gam hi jhootha sa lagta hai
Kyu yeh dard mere paas nahin
Kyu yeh jasbat mere aap nahin
Nahin bandhi to bikhar na jau kahin
Toot kar apna na kho jau kahin
Kya yeh sab vyarth hai
Maun bhi kya nirarth hai
Hooth kar rahe chup baat lagta hai
Khamoshi mein rundan ka swar sa sunta hai

Kya kuch nahi jeevan matr naam hai
Kya bin lakshay jeevan labh hai
Kahin saya tak nazar nahi aata hai
Jaane kyu jeevan khoya sa jata hai
Maan kuch khena chahta hai
Lekin bin kahe antim saans le jata hai
Aur phir…
Jeevan mein tatv khojti mein reh jati hoon
Ek adoore se ahsaas mein khokar…